Ab Ye Sochon To By Mohsin Naqvi

Ab ye sochon to bhanwar zehan main parjate hain
Kese chehre hain jo milte hain bichar jaate hain

Kyun tere dard ko dain tohmat-e-wiraani-e-Dil
Zalzalon main to bhare shehar ujar jaate hain

Mosam-e-zard main ik dil ko bachaoon kese?
Aise rut main to ghan'ne per bhi jhar jaate hain

Ab koi kya mere qadmon k nishan dhondega?
Taiz aandhi main to kheme bhi ukhar jaate hain

Soch ka aayena dhundla ho to phir waqt k sath
Chand chehron k khado khaal bigar jaate hain

Shiddat-e-Gham main bhi zinda hon to herat kese?
Kuch diye tund hawaon se bhi lar jaate hain

Wo bhi kya loog hain "Mohsin" jo wafa ki khatir
Khud tarasheeda asolon pe bhi arr jaate hain

Comments

Post a Comment