Bari Mushkil Se Seekha Hai

main kaisy chor doon jeena bari mushkil sy seekha hy,
piyala zahar ka peena bari mushkil sy seekha hy.

nahi yh ho nahi sakta main nafrat bhi karoon tumsy.
k main ny payar hi karna bari mushkil sy seekha hy,

bara nazak hy dil mera,iska aitabar zara kr lo,,,,
tumhary dard ko sehna bari mushkil sy seekha hy.

main sub k samny kh doon mujhy tum sy mohabat hy,
tumhary samny kehna bari mushkil sy seekha hy.....

Comments