Qissa Abhi Hijaab Se - Urdu Ghazal


Qissa abhi hijab se aage nahi barha
Main aap, wo janaab se aage nahi barha

Muddat hue Kitaab-e-muhabbat shuru kiye
Lakin main pehle baab se aage nahi barha

Lambi musafaten hain magar is sawaar ka
Paaon abhi raqaab se aage nahi barha

Toul-e-Kalaam k lye main ne kiye sawaal
Wo mukhtasar jawaab se aage nahi barha

Rukhsaar ka pata nahi aankhen to khoob hain
Dedaar abhi naqaab se aage nahi barha

Comments